Skip to main content

Posts

Showing posts from 2016

Ye Jo Halka Halka Suroor Hai (Full 68 min Version)

Ye Jo Halka Halka Suroor Hai Saaqi ki har nigah pe bal kha ke pii gaya lehron se khelta hua lehra ke pii gaya Ay Rehmat-e-tamaam! Meri har khata maaf! Main inteha-e-shauq mein ghabra ke pii gaya Dar par tha chashm-e-yaar ki sheh paa ke pii gaya Zahid! Ye meri shokhi-e-rindana dekhna "Rehmat" ko baaton baaton mein behla ke pii gaya Mutribon ki nawaain aati hain kis ke geysoo khulain hain saawan main Mehki mehki hawain aati hain Aao sehn-e-chaman main raqs karain Saaz lai kar ghataain aati hain Dekh kar un ki aankhnion ko adam! Maikadon ko haya-ain aati hain Paas rehta hai door rehta hai Koi dil mein zaroor rehta hai Jab se dekha hai un ki aankhon ko Halka halka suroor rehta hai Aisay rehte hain wo mere dil main (4:45) jaise zulmat mein noor rehta hai Ab adam ka ye haal hai har waqt Mast rehta hai choor rehta hai Ye Jo halka halka! Ye Jo halka halka suroor hai Ye teri nazar ka kusoor hai K sharaab pina sikha diya Teray pyaar ne, teri chaah ne (8:20) Teri beh

Sochta Hoon K Woh Kitne Maasom Thay [25:12]

Jaanay waalay humari mehfil se Chaand taaron ko saath leja Hum khizaan (Autumn) se nibaah kar lenge tu bahaaron ko saath leta ja Achi soorat ko sanwarnay ki zaroorat kya hai Saadgi main bhi Qayamat ki ada hoti hai Tum jo aajatay ho Masjid main ada karne namaaz Tum ko maaloom hai kitnon ki Qaza hoti hai Koi hansay to tujhe gham lagay, hasi na lagay K dillagi bhi tere dil ko dillagi na lagay Tu roz roya karay uth k chaand raaton main Khuda karay tera mere baghair jee na lagay Koi bhi Waqt ho hans kar guzaar leta hun Khizaan k dor main ehd-e-bahaar leta hun Gulon se rang, Sitaron se roshni le kar Jamaal-e-yaar ka naqsha utaar leta hun Us k nazdeek Gham-e-tark-e-Wafa kuch bhi nahi Mutma'in aisay hai wo jesay hua kuch bhi nahi Ab to haathon ki lakeerain bhi mitti jaati hain Us ko kho kar to mere paas raha kuch bhi nahi Kal bicharrna hai, to phir Ehd-eWafa soch k baandh Abhi aaghaaz-e-muhabbat hai, gaya kuch bhi nahi Main to is waaste chup hun k tamaasha na bana

Phiroon Dhoondta Maikada - Tauba Tauba [18:45]

Kar rahi hai dar haqeeqat Kaam saaqi ki nazar Maikaday main gardish-e-saagar bara-e-naam hai Phiroon dhoondta maikada? Tauba Tauba! Mujhe aaj kal itni fursat nahi hai Tauba! Tauba! Tauba! Tauba! Salaamat rahay teri aankhon ki masti Mujhe maikashi ki zaroorat nahi hai Salaamat rahain, teri aankhain! Saaqi teri aankhain, Salaamat rahain Gila nahi jo guraizaan hain chand paimaanay Nigaah-e-yaar salaamat, hazaar maikhanay Khanaktay jaam ka mohtaaj main nahi Saaqi! Teri nigaah salaamat mujhe kami kya hai Aankhain Saaqi ki salaamat, mere dushman tarsain Dohray maikhaanay hain neeyat meri marnay k liye Suroor cheez ki miqdaar par nhi moqoof Sharaab kam hai to saaqi nazar mila k pila Jaam par jaam peene se kya faida Raat guzri to saari utar jaye gi Teri nazron se pi hai khuda ki qasam Umr saari nashay main guzar jaye gi Dil uska namaazi ban jaaye Aankh uski gulaabi ho jaaye Tu jisko muhabbat se dekhay Saaqi! Wo sharaabi ho jaye Salaamat rahay teri aankhon k

Rakh Sambh ke Ya - Dil Tainu De Chadiya - Nusrat Fateh Ali Khan Lyrics

Rakh Sambh ke Ya - Dil Tainu De Chadiya - Nusrat Fateh Ali Khan Lyrics [30 minute version] Parri namaz te niaaz na sikhya Ve teriyan kis kam parriyan namaazaan? Ilm parhiya te Amal na keeta Ve teriaan kis kam keetiyaan baazaan Na kar Dittha Na kar waala dittha Teriyaan kis kam dittiyaan niaazaan Bulleh Shah, Pata tadd chal si, Jadon chiri phassi hath-baazaan Khaa Raan te parh shukraana Kar Tauba tark sawaabon Chadd maseet te pakar kinaara Teri chuttay jaan azaabon Naa kaho kalma jera kenda munkar Ve tu honaan ik sawaabon Bulleh Shah, chal othay vassiye Jithay mana na karan Sharaabaan Sir te topi te neeyat Khotti Lena ki topi sir tar k ? Tasbeeh phiri par dil na phirya Lena ki tasbeeh hath pharh k Chillain keetay par Rab na milya Lena ki chilliyaan wich war k Bulleya! Jaag bina dudh nai jamda Paavain laal hove karr karr k Par par Aal mufaazil hoya kaddi apne aap nu parya hi nai Jaa jaa warda mandir Maseetaan Kaddi apne andar tu warya hi nai Aiween r

Tum Agar Yunhi - Nusrat Fateh Ali Khan - Qawwalli - {18:30}

Tum Agar Yunhi Nazrain Milate Rahe - 18 Minute Version Tum agar yunhi nazrain milaate rahe, Mai-kashi mere dar se Kahan jaye gi? Tum agar yunhi nazrain milaate rahe, Mai-kashi mere dar se Kahan jaye gi? Aur ye silsila Mustaqil ho toh phir, Be-khudi mere dar se, Kahan jaye gi? Ik zamaanay ke baad, Aayi hai Shaam-e-Gham Sham-e-gham mere dar se kahan jaye gi? Meri qismat main hai Jo tumhari kami Wo kami mere dar se, Kahan jaye gi? Shammah ki ab mujhe kuch zaroorat nahi Naam ko bhi shab-e-gham main zulmat nahi Mera har daagh-e-dil kam nahi chaand se Chaandni mere dar se, kahan jaye gi? Tune jo gham diye, wo khushi se liye. tujhko dekha nahi, phir bhi sajday kiye,  Itna mazboot hai jab aqeedah mera. Bandagi mere dar se kahan jaye gi? Zarf waala koi saamnay aaye toh Main bhi dekhun zara, kis ko apnaye toh Meri ham-raaz ye, Iska ham-raaz main, Be-kasi mere dar se Kahan jaye gi? Jo koi bhi teri raah main mar gaya, apni hasti ko woh jaanwida kar gaya
Tere Vichon Rab Disda - 7minute version I See God in you - English Translation Kivain mukhre ton nazraan hataanwaan? Ve tere vichon Rab disda How do I take my eyes off of your face? I see God in you Mainu shok nahi tere deeadar da Mukh Rab da hai Mukh sarkaar ka I don't have any interest in seeing you [But] The face of my loved one resembles the face of God Tera naam asaan di tasbeeh ay Teri pooja, namaazan, Saadiyaan ne Tera mukhra Soneyaah! Bait-ullah Kaabay da nazaara toon ayn Your name is my prayer I pray to you Your face, Oh! it is the house of God You are the scenery of God's house Yaar Imaan te yaar hi Kaaba Odi deed Khuda di deed ay My loved one is my religion My loved one is my Church The sight of you actually the sight of God Nai tere nazaaray na jee bharda Tenu takda rahaan ayho jee karda Looking at you doesn't suffice me, Keep looking at you, Is what my heart says Maahiye! Je saamnay naa hoven Parhi hoyi v Qaza ho jandi ay

Ja Mur Ja - Ishq ch ki rakhiya - Nusrat Fateh Ali Khan Lyricsification

Ja Mur Ja Aje Vi Ghar Mur Ja Ni Ishq Ch Ki Rakhiya - Nusrat Fateh Ali Khan  [20 Minute Version] Ishq de mehkame gaya main ik din  aggon ishq ne meri barreyaayi thagg layi Main gaya si Ishq ton daad lein aggon ishq ne meri daanaayi thagg layi Es ishq ne baray baray thagg laye "Qaaroon" Baadshah di Baadshahi thagg layi Tain ki thaggya Aashiq Zaara  Es Ishq ne Khuda di Khudaayi thagg layi Yaari Ishq de naal na la betheen  Ay yaar bana keh lutt lenda Ay Ishq Awalaan daaku ay  Bass nain mila keh lutt lenda Ay Ishq vi Awallaan, Ede kam vi Awallein Jiday pesh peh jaanda, Kakh chad'da nai pallay Ja Murrja! Ja Murrja! Ja Murrja Aje vi ghar murr ja,  Ni ishqeh ch ki rakhiya Ishq diyaan ne huzoor bariyaan manzillaan ne door Ay ne dubbay lakhaan poor Ay nai wekhda Qusoor Phar keh khall khich lenda ay khayal rakh lein toon Ay jobann nai labnaan lakheen Wella gaya naa aunda hatheen Ishq tattay nu door hi rakheen Pull na jaaween, kidheray rakheen Pal

Hun Piyala Rakh de Ik Paasay/Aj Nazran Naal Pila Saaqi - Nusrat Fateh Ali Khan Lyricsification

Hun Piyala Rakh de Ik Paasay  [19 minute version] Saaqi Tere darr de utay Aaray mast deewanay Tere naa diyaan dhumaan paiyaan Saaray vich zamaanay Sab nu Saaqi mast bana de Par par de pe-maanay Nazraan naal pila de saanu Khol de ajj Mai-khaanay Hun Piyaala Rakh de ik paasay Aj nazraan naal pila Saaqi! Saada roz da peena muk jaave Aj Aisa nasha charha saaqi Nasha Pakda ni uriyaan jaaman thi Pura par keh nazran da jaam pila Kareen khayal na saadi masti da Aj jaam te jaam luta Saaqi Koi nasha nai ais Sharaab andar Mere Saaqi! Mere Saaqi! Koi nasha nai ais Sharaab andar Saara nasha ay teriyaan nazraan vich Has Has keh naina de jaam pila Aj mathay uttay watt na paa saaqi Tere bohot puraanay Gaahak haan Aj naway nai peewan aaye haan Naya Rakh le jaam piyale vich Allah naave hor pila saaqi Main te peeni ayn, peeni ayn, Main te peeni ayn Jaam nal nai, Balkay nazraan naal Aisi Mai pila de saaqi Hosh-o-Khird bhula de Sadqa Maikhaanay da saaqi aj gh

Mere baad phir kisi se - Nusrat Fateh Ali Khan lyricsification

Mere baad kisi se Kabhi Tum na Pyaar Karna [10 minute version] Main kaheen bhi jaaun Aey Jaan! Mera Intezaar karna! Mere Baad phir kisi se Kabhi tum na Pyaar karna! Mera naam jin labon pe Kabhi khelta tha barson Meri Jaan, Main wohi hun Mera Aitbaar karna Tu nigaar-e-zindagi tha Tu bahar-e-zindagi tha Mujhe yaad hai abhi tak Tera Be-Qaraar karna Tu Bazaat-e-Khud nasha hai Tu Misaal-e-Maikada hai Tera khud se moo chupaana  Mujhe Sharm-saar karna Tu agar bhattak bhi jaye Tere paas hai woh rasta Jisay "Noor" ne dikhaya  Wohi ikhteyaar Karna Main Kaheen bhi jaun Aey Jaan! Mera Intezaar Karna!

Woh Hata Rahe hain Pardah (Chupke Chupke) - Nusrat Fateh Ali Khan Lyricsification

Woh Hata Rahe Hain Pardah - Nusrat Fateh Ali Khan ~ Roz kab teri deed hoti hai Aik hi din to Eid hoti hai Koi badli umadd hi aati hai Jab bhi garmi shadeed hoti hai Haye! Qaasid ki Dil-shikan soorat, Jaisay khat ki raseed hoti hai Hum Qalandar-janosh kartay hain Us nazar ki kasheed hoti hai ~ Koi hasay toh tujhe gham lagay, Keh Dil-laggi bhi tere dil ko Dil-laggi na lagay Tu roz roya karay uth keh chaand raaton main Khuda karay tera mere baghair jee na lagay ~ Udaasiyan jo na laatay, toh aur kya kartay? Na jashn-e-shola manatay, toh aur kya kartay? Andhera maangnay aaya tha roshni ki bheek, Hum apna ghar na jalaatay, toh aur kya kartay? ~ Sheerada-e-Hayaat pareshan ho gaya Ye marhalaa bhi kher se aasaan ho gaya Mere sukoon-e-dil ko toh hona hi tha tabaah Unki bhi ik nigaah ka nuqsaan ho gaya Woh hata rahay hain pardah, Sar-e-Baam chupke chupke Main Nazaara kar raha hun, Sar-e-Shaam chupke chupke Yeh jhuki jhuki nigaahain Yeh Haseen haseen ishaaray Muj
Chaap tilak sab cheeni - Nusrat Fateh Ali khan (10 minute version only) Aa piya in nainan main jo palk dhaamp tohe loon Na main dekhun ghair ko, na tohe dekhan dun Kaajal daalun kir-kara jo surma diya na jaye Jin nainan main pee basse, toh dooja kon samaaye Chaap Tilak sab cheeni re, moh se naina milai ke. Chaap Tilak sab cheeni re, moh se naina milai ke. Chaap Tilak sab cheeni re, moh se naina milai ke. Chaap Tilak sab cheeni re, moh se naina milai ke. Prem bhati ka madhva pilai ke, Matwari kar di ni re, moh se naina milai ke. Bal bal jaaun main tore rang rajwa Jaun tore bal bal. Aisi rang do k rang naahi chhutay Dhobiya dhoye chaahe saari umariya Bal bal jaun main tore rang rajwa Apni si rang di ni re, moh se naina milai ke Gori gori baiyaan, hari hari churriyaan, Baiyaan pakarr har li ni re, moh se naina milai ke. Khusrau Nizaam ke bal bal jaiyaaan Khusrau Nizaam ke bal bal jaiyaaan Mohe suhagan keeni re, moh se naina milai ke Chaap tilak sab cheeni re, moh

Kivain Mukhre ton nazran hatawan - Nusrat Fateh Ali Khan

Kivain Mukhre ton nazran hatawan - Nusrat Fateh Ali Khan (21 minute version) Kivain Mukhre ton nazran hatawan?  Ve tere vichon Rab disda! Mainu shok nahi tere deedar da Mukh (chehra) Rab da hai mukh sarkaar da Sajna main! Kivain mukhre ton nazran hatawan? Ve tere vichon Rab disda Tera naam asaan di tasbeeh ay Teri pooja, namazaan saadiyan ne Tera mukhra sohneya Bait-ullah, (Allah Ka Ghar)  Kaabay da nazara tun ayn Es Ishq di marz (beemari) anokhi ay Nai hat'di baid, hakeemaan ton  Tere ghumne marzan kat jawan Mere marz da chaara tun ayn Yaar Imaan, Te yaar hi Kaaba Odi deed, Khuda di deed ay Nai tere nazaare na jee parda Tenu takda rawaan eho-i jee karda Maahi ve, Je saamnay na hovain Parhi hoi [Namaaz] vi qaza ho jandi ay Mukh dekhna tera "Hajj" saada! Teri deed namaaz asaadi ay Teri soorat us da naqsha ay Koi Rab di soorat Hor nahi Jee karda ay/main Tenu wekhi jaawan Ve tere vichon Rab disda Wekh k teriyaan naaz a

Aankh uthi Muhabbat ne Angrai Li

Aankh uthi Muhabbat ne Angrai Li  (28 minute version) Aankh uthi muhabbat ne angrai li Dil ka sauda hua chaandi raat main (chaandi raat main) Unki nazron ne kuch aisa jaaddu kiya lut gaye hum to pehli mulaaqat mein Dil lout liya iman lout liya Humpe Aisa Jaadu kiya unki nazron ne Khud Tarap kar on ke janib dil gaya Humpe Aisa Jaadu Kiya unki nazron ne Sharab seekh pay dali kabab sheeshay main Humpe Aisa Jaadu Kiya unki nazron ne Zindagi Doob Gayi un ki Hasin ankhon main Yoon mera piyar ke afsanay ko anjaam mila Humpe Aisa Jaadu Kiya unki nazron ne Kafiyat-e-chashm uski mujhe yaad hai "Souda"  Sagir ko mera hath sa lena ke chala main Aisa Jaadu Kiya unki nazron ne Hum hosh bhi apne bhul gaye Imaan bhi apna bhul gaye Ik dil hi nahi us bazm (mehfil) mein Hum na jaane kya kya bhul gaye Jo baat thi unko kehne ki Wo baat hi kehna bhul gaye Ghairon ke fasane yaad rahe Hum apna fasana bhul gaye Wo aa kay ajj samnay is shaan say gaye Hum dekhta he dekhtay Imaan say gaye Ky