Woh Hata Rahe Hain Pardah - Nusrat Fateh Ali Khan
~ Roz kab teri deed hoti hai
Aik hi din to Eid hoti hai
Koi badli umadd hi aati hai
Jab bhi garmi shadeed hoti hai
Haye! Qaasid ki Dil-shikan soorat,
Jaisay khat ki raseed hoti hai
Hum Qalandar-janosh kartay hain
Us nazar ki kasheed hoti hai
~ Koi hasay toh tujhe gham lagay,
Keh Dil-laggi bhi tere dil ko Dil-laggi na lagay
Tu roz roya karay uth keh chaand raaton main
Khuda karay tera mere baghair jee na lagay
~ Udaasiyan jo na laatay, toh aur kya kartay?
Na jashn-e-shola manatay, toh aur kya kartay?
Andhera maangnay aaya tha roshni ki bheek,
Hum apna ghar na jalaatay, toh aur kya kartay?
~ Sheerada-e-Hayaat pareshan ho gaya
Ye marhalaa bhi kher se aasaan ho gaya
Mere sukoon-e-dil ko toh hona hi tha tabaah
Unki bhi ik nigaah ka nuqsaan ho gaya
Woh hata rahay hain pardah,
Sar-e-Baam chupke chupke
Main Nazaara kar raha hun,
Sar-e-Shaam chupke chupke
Yeh jhuki jhuki nigaahain
Yeh Haseen haseen ishaaray
Mujhe de rahay hain shayad
Woh Payam chupke chupke
Na dikhao chalte chalte
Yun qadam qadam pe shokhhi
Koi Qat'l ho raha hai
Sar-e-Aam chupke chupke
Kabhi shokiyaan dikhana
Kabhi unka muskuraana
Ye adaaein kar na daalain
Mera kaam chupke chupke
Zara hoshiyaar, Ay dil!
Kaheen dhaa na dain Qayamat
Us sadaa-e-Kaafiri ka
Ye Salaam chupke chupke
Yeh jo hich-kiyaan musalsal
Mujhe Aa raheen hain "Aalam"
Koi le raha hai shayad
Mera naam chupke chupke
Woh Hata rahay hain pardah
Sar-e-Baam chupke chupke
~ Roz kab teri deed hoti hai
Aik hi din to Eid hoti hai
Koi badli umadd hi aati hai
Jab bhi garmi shadeed hoti hai
Haye! Qaasid ki Dil-shikan soorat,
Jaisay khat ki raseed hoti hai
Hum Qalandar-janosh kartay hain
Us nazar ki kasheed hoti hai
~ Koi hasay toh tujhe gham lagay,
Keh Dil-laggi bhi tere dil ko Dil-laggi na lagay
Tu roz roya karay uth keh chaand raaton main
Khuda karay tera mere baghair jee na lagay
~ Udaasiyan jo na laatay, toh aur kya kartay?
Na jashn-e-shola manatay, toh aur kya kartay?
Andhera maangnay aaya tha roshni ki bheek,
Hum apna ghar na jalaatay, toh aur kya kartay?
~ Sheerada-e-Hayaat pareshan ho gaya
Ye marhalaa bhi kher se aasaan ho gaya
Mere sukoon-e-dil ko toh hona hi tha tabaah
Unki bhi ik nigaah ka nuqsaan ho gaya
Woh hata rahay hain pardah,
Sar-e-Baam chupke chupke
Main Nazaara kar raha hun,
Sar-e-Shaam chupke chupke
Yeh jhuki jhuki nigaahain
Yeh Haseen haseen ishaaray
Mujhe de rahay hain shayad
Woh Payam chupke chupke
Na dikhao chalte chalte
Yun qadam qadam pe shokhhi
Koi Qat'l ho raha hai
Sar-e-Aam chupke chupke
Kabhi shokiyaan dikhana
Kabhi unka muskuraana
Ye adaaein kar na daalain
Mera kaam chupke chupke
Zara hoshiyaar, Ay dil!
Kaheen dhaa na dain Qayamat
Us sadaa-e-Kaafiri ka
Ye Salaam chupke chupke
Yeh jo hich-kiyaan musalsal
Mujhe Aa raheen hain "Aalam"
Koi le raha hai shayad
Mera naam chupke chupke
Woh Hata rahay hain pardah
Sar-e-Baam chupke chupke
Comments
Post a Comment