Tum Agar Yunhi Nazrain Milate Rahe - 18 Minute Version
Tum agar yunhi nazrain milaate rahe,
Mai-kashi mere dar se Kahan jaye gi?
Tum agar yunhi nazrain milaate rahe,
Mai-kashi mere dar se Kahan jaye gi?
Tum agar yunhi nazrain milaate rahe,
Mai-kashi mere dar se Kahan jaye gi?
Mai-kashi mere dar se Kahan jaye gi?
Aur ye silsila Mustaqil ho toh phir,
Be-khudi mere dar se, Kahan jaye gi?
Ik zamaanay ke baad, Aayi hai Shaam-e-Gham
Sham-e-gham mere dar se kahan jaye gi?
Meri qismat main hai Jo tumhari kami
Wo kami mere dar se, Kahan jaye gi?
Shammah ki ab mujhe kuch zaroorat nahi
Naam ko bhi shab-e-gham main zulmat nahi
Mera har daagh-e-dil kam nahi chaand se
Chaandni mere dar se, kahan jaye gi?
Tune jo gham diye, wo khushi se liye.
tujhko dekha nahi, phir bhi sajday kiye,
Itna mazboot hai jab aqeedah mera.
Bandagi mere dar se kahan jaye gi?
Zarf waala koi saamnay aaye toh
Mera har daagh-e-dil kam nahi chaand se
Chaandni mere dar se, kahan jaye gi?
Tune jo gham diye, wo khushi se liye.
tujhko dekha nahi, phir bhi sajday kiye,
Itna mazboot hai jab aqeedah mera.
Bandagi mere dar se kahan jaye gi?
Zarf waala koi saamnay aaye toh
Main bhi dekhun zara, kis ko apnaye toh
Meri ham-raaz ye, Iska ham-raaz main,
Be-kasi mere dar se Kahan jaye gi?
Jo koi bhi teri raah main mar gaya,
apni hasti ko woh jaanwida kar gaya
Main shaheeday-wafa ho gaya hun to kya?
Zindagi mere dar se kahan jaye gi?
Tum agar yunhi nazrain milate rahe,
Mai-kashi mere dar se kahan jaye gi.
(Please remember me in your prayers if my posts have helped)
Meri ham-raaz ye, Iska ham-raaz main,
Be-kasi mere dar se Kahan jaye gi?
Jo koi bhi teri raah main mar gaya,
apni hasti ko woh jaanwida kar gaya
Main shaheeday-wafa ho gaya hun to kya?
Zindagi mere dar se kahan jaye gi?
Tum agar yunhi nazrain milate rahe,
Mai-kashi mere dar se kahan jaye gi.
(Please remember me in your prayers if my posts have helped)
wah nyc
ReplyDeleteRakh sanbh k ya sajna ganwa de,
ReplyDeleteJa dil tenu de chadya