Jaanay waalay humari mehfil se
Chaand taaron ko saath leja
Hum khizaan (Autumn) se nibaah kar lenge
tu bahaaron ko saath leta ja
Achi soorat ko sanwarnay ki zaroorat kya hai
Saadgi main bhi Qayamat ki ada hoti hai
Tum jo aajatay ho Masjid main ada karne namaaz
Tum ko maaloom hai kitnon ki Qaza hoti hai
Koi hansay to tujhe gham lagay, hasi na lagay
K dillagi bhi tere dil ko dillagi na lagay
Tu roz roya karay uth k chaand raaton main
Khuda karay tera mere baghair jee na lagay
Koi bhi Waqt ho hans kar guzaar leta hun
Khizaan k dor main ehd-e-bahaar leta hun
Gulon se rang, Sitaron se roshni le kar
Jamaal-e-yaar ka naqsha utaar leta hun
Us k nazdeek Gham-e-tark-e-Wafa kuch bhi nahi
Mutma'in aisay hai wo jesay hua kuch bhi nahi
Ab to haathon ki lakeerain bhi mitti jaati hain
Us ko kho kar to mere paas raha kuch bhi nahi
Kal bicharrna hai, to phir Ehd-eWafa soch k baandh
Abhi aaghaaz-e-muhabbat hai, gaya kuch bhi nahi
Main to is waaste chup hun k tamaasha na banay
Tu samajhta hai mujhe tujhse gila kuch bhi nahi
Sochta hun,... Sochta hun
Sochta hun k wo kitne maasoom thy
Kya se kya ho gaye, dekhte dekhte
Maine pathar se jinko banaya Sanam,
Wo khuda ho gaye, dekhte dekhte
Jin patharon ko humne ata ki thi dharkanain
Wo bolne lagay to hum hi par barass parray,
Dekho ji!
Mere haathon se taraashay huay Pathar k sanam
Mere hi saamnay Bhagwaan banay bethay hain
Hashar hai Wahshat-e-dil ki aawaargi
Humse poocho muhabbat ki deewangi
Jo pata poochte thay kisi ka kabhi
La-pata ho gaye, dekhte dekhte
Humse ye soch kar koi waada karo
Aik waaday pe umrain guzar jayen gi
Ye hai dunya yahan kitne Ehl-e-Wafa
Bewafa ho gaye, dekhte dekhte

Din chup gaya, chup gaya chup gaya
Din chup gaya, Sooraj ka kaheen naam nahi hai
O waada shikkan! Ab bhi teri shaam nahi hai
O waada Shikkan! Waada Shikkan!
Shab-e-Waada ye raha karte baatain dil se
Dekhain yaar aata hai pehle ya Qaza aati hai
O Waada Shikkan!
Kal se be-kal hun main bhala khaak mujhe kal aaye
Kal ka waada tha, na wo aaj aaye, na wo kal aaye
Roz ka intezaar kon karay?
Aap ka aitbaar kon karay?
Ho chuka Waada k kab aa'yega
Dekhye ab na bhool jai'ye ga
Bhala koi waada khilaafi ki had hai
Hisaab apne dil main laga kar to socho
Qayamat ka din aagaya rafta rafta
Mulaqaat ka din badalte badalte
Humse ye soch kar koi waada karo
Aik Waaday pe umrain guzar jayen gi
Ye hai dunya yahan kitne ehl-e-wafa
Bewafa ho gaye, dekhte dekhte
Ghair ki baat tasleem kya kijiye?
Ab to khud par bhi hum ko bharosa nahi
Apna saaya samajhtay thy jinko kabhi
Apna saaya samajhtay thy jinko kabhi
Wo juda ho gaye, dekhte dekhte
Sochta hun k wo kitne maasoom thy
Kya se Kya ho gaye, dekhte dekhte
Comments
Post a Comment