Ye Jo Halka Halka Suroor Hai Saaqi ki har nigah pe bal kha ke pii gaya lehron se khelta hua lehra ke pii gaya Ay Rehmat-e-tamaam! Meri har khata maaf! Main inteha-e-shauq mein ghabra ke pii gaya Dar par tha chashm-e-yaar ki sheh paa ke pii gaya Zahid! Ye meri shokhi-e-rindana dekhna "Rehmat" ko baaton baaton mein behla ke pii gaya Mutribon ki nawaain aati hain kis ke geysoo khulain hain saawan main Mehki mehki hawain aati hain Aao sehn-e-chaman main raqs karain Saaz lai kar ghataain aati hain Dekh kar un ki aankhnion ko adam! Maikadon ko haya-ain aati hain Paas rehta hai door rehta hai Koi dil mein zaroor rehta hai Jab se dekha hai un ki aankhon ko Halka halka suroor rehta hai Aisay rehte hain wo mere dil main (4:45) jaise zulmat mein noor rehta hai Ab adam ka ye haal hai har waqt Mast rehta hai choor rehta hai Ye Jo halka halka! Ye Jo halka halka suroor hai Ye teri nazar ka kusoor hai K sharaab pina sikha diya Teray pyaar ne, teri chaah ne (8:20) Teri beh
A blog consisting of a compilation of lyrics to some of the best and my personal favorite Qawaalis of Ustaad Nusrat Fateh Ali Khan.