Tum Agar Yunhi Nazrain Milate Rahe - 18 Minute Version Tum agar yunhi nazrain milaate rahe, Mai-kashi mere dar se Kahan jaye gi? Tum agar yunhi nazrain milaate rahe, Mai-kashi mere dar se Kahan jaye gi? Aur ye silsila Mustaqil ho toh phir, Be-khudi mere dar se, Kahan jaye gi? Ik zamaanay ke baad, Aayi hai Shaam-e-Gham Sham-e-gham mere dar se kahan jaye gi? Meri qismat main hai Jo tumhari kami Wo kami mere dar se, Kahan jaye gi? Shammah ki ab mujhe kuch zaroorat nahi Naam ko bhi shab-e-gham main zulmat nahi Mera har daagh-e-dil kam nahi chaand se Chaandni mere dar se, kahan jaye gi? Tune jo gham diye, wo khushi se liye. tujhko dekha nahi, phir bhi sajday kiye, Itna mazboot hai jab aqeedah mera. Bandagi mere dar se kahan jaye gi? Zarf waala koi saamnay aaye toh Main bhi dekhun zara, kis ko apnaye toh Meri ham-raaz ye, Iska ham-raaz main, Be-kasi mere dar se Kahan jaye gi? Jo koi bhi teri raah main mar gaya, apni hasti ko woh jaanwida kar gaya
A blog consisting of a compilation of lyrics to some of the best and my personal favorite Qawaalis of Ustaad Nusrat Fateh Ali Khan.